bas ki ik dar-ba-dari rahti hai
ḳhud se hi dauḌ lagi rahti hai
munjamid ham ko na jaano sahab
andar ik aag lagi rahti hai
kuchh tabi.at hi mili hai aisi
saath ik gham-zadagi rahti hai
bure asar ki sar par goya
koi talvar tani rahti hai
koi mausam ho mire parbat par
saal bhar barf jami rahti hai
do kinaron ki tarah hain donon
darmiyan ek nadi rahti hai
Leave a Reply