Shane Ki Har Zaban Se Sune Koi Laf-E-Zulf

shane ki har zaban se sune koi laf-e-zulf

chire hai siina raat ko ye mu-shigaf-e-zulf

jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyah

is tarah is sanam ke hai rukh par ghilaf-e-zulf

barham hai is qadar jo mire dil se zulf-e-yar

shamat-zada ne kya kiya aisa khilaf-e-zulf

matlab na kufr o diin se na dair o haram se kaam

karta hai dil tavaf-e-izar o tavaf-e-zulf

naf-e-ghazal-e-chin hai ki hai nafa-e-tatar

kyunkar kahun ki hai girah-e-zulf naf-e-zulf

aapas men aaj dast-o-gareban hai roz o shab

ai mehr-vash zari ka nahin mu-e-baf-e-zulf

kahta hai koi jiim koi laam zulf ko

kahta huun main ‘zafar’ ki musattah hai kaf-e-zulf

Leave a Comment