bas is taqsir par apne muqaddar men hai mar jaana
tabassum ko tabassum kyuun nazar ko kyuun nazar jaana
khirad valon se husn o ishq ki tanqid kya hogi
na afsun-e-nigah samjha na andaz-e-nazar jaana
mai-e-gulfam bhi hai saz-e-ishrat bhi hai saaqi bhi
bahut mushkil hai ashob-e-haqiqat se guzar jaana
gham-e-dauran men guzri jis qadar guzri jahan guzri
aur is par lutf ye hai zindagi ko mukhtasar jaana
Leave a Reply