bas har ik raat yahi jurm kiya hai main ne
la ke khvabon men tujhe dekh liya hai main ne
har baras ziist ka lamha sa laga hai lekin
baaz lamhon men to sadiyon ko jiya hai main ne
chhute jaate hain sabhi ahal-e-kharabat-e-junun
kya ajab aql se sauda ye kiya hai main ne
saghar-e-marg ko suqrat ne pi kar ye kaha
zindagi tere liye zahr piya hai main ne
apne har khvab ki taabir ko paane ke liye
ik samundar tha jise paar kiya hai main ne
tum nahin jante maqtal se darane vaalo
jaan ka nazrana kai baar diya hai main ne
kaise mumkin hai ki main tujh se tiri baat karun
tere kahne pe to honton ko siya hai main ne
mai-kashi men bhi kai daur guzare ‘adil’
kabhi chullu kabhi saghar se piya hai main ne
Leave a Reply