bas ek tire ḳhvab se inkar nahin hai
dil varna kisi shai ka talabgar nahin hai
ankhon men hasin ḳhvab to hain aaj bhi lekin
ta.abir se ab koi sarokar nahin hai
dariya se abhi tak hai vahi rabt hamara
kashti men hamari koi patvar nahin hai
hairat se na.e shahr ko main dekh raha huun
divar to hai saya-e-divar nahin hai
is bazm ki raunaq to zara ghaur se dekho
lagta hai yahan koi dil-azar nahin hai
aa.e ho numa.ish men zara dhyan bhi rakhna
har shai jo chamakti hai chamakdar nahin hai
kyuun itna hamen apni mohabbat pe yaqin hai
duniya to mohabbat ki parastar nahin hai
Leave a Reply