• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Ke Baras dastur-E-Sitam Mein Kya Kya Bab Izad Hue

Ab Ke Baras dastur-E-Sitam Mein Kya Kya Bab Izad Hue

faiz-ahmad-faiz

ab ke baras dastur-e-sitam men kya kya baab izad hue

jo qatil the maqtul hue jo said the ab sayyad hue

pahle bhi khizan men baagh ujde par yuun nahin jaise ab ke baras

saare buute patta patta ravish ravish barbad hue

pahle bhi tavaf-e-sham-e-vafa thi rasm mohabbat valon ki

ham tum se pahle bhi yahan ‘mansur’ hue ‘farhad’ hue

ik gul ke murjhane par kya gulshan men kohram macha

ik chehra kumhla jaane se kitne dil nashad hue

‘faiz’ na ham ‘yusuf’ na koi ‘yaqub’ jo ham ko yaad kare

apni kya kanan men rahe ya misr men ja abad hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Koi Tohmat Ho Mere Nam Chali Aati Hai

Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai

aziz-bano-darab-wafa

Zara Mushkil Se Samjhenge Hamare Tarjuman Hum Ko

poet

Jis Ko Dekho Bewafa Hai Aainon Ke Shahr Mein

poet

Us Se Phir Kya Gila Kare Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet