barun-e-dar nikalte hi bahut ghabra gaya huun
main jis duniya men tha kyuun us se vapas aa gaya huun
koi sayyara mere aur us ke darmiyan hai
main kya tha aur dekho kis tarah gahna gaya huun
mujhe raas aa na pa.enge ye paani aur miTTi
ki main ik aur miTTi se huun aur murjha gaya huun
main patthar chuum kar tahlil ho jaata hava men
magar zinda huun aur haihat vapas aa gaya huun
kahan main aur kahan darbar ka jahl-o-takabbur
magar ik ism ki tasbih jis se chha gaya huun
Leave a Reply