Barson Ka Shanasa Bhi Shanasa Nahin Lagta

barsoñ kā shanāsā bhī shanāsā nahīñ lagtā

kuchh bhī dam-e-hijrāñ mujhe achchhā nahīñ lagtā

kar luuñ maiñ yaqīñ kaise ki badla nahīñ kuchh bhī

lahja hī agar aap kā lahja nahīñ lagtā

ik tere na hone se huā haal ye dil kā

bastī meñ koī shaḳhs bhī apnā nahīñ lagtā

kāġhaz se vo mānūs sī ḳhushbū nahīñ aa.ī

ye ḳhat bhī tire haath kā likkhā nahīñ lagtā

āñkhoñ meñ mirī is liye ‘jāzib’ ye namī hai

sūkhā huā dariyā mujhe achchhā nahīñ lagtā

Leave a Comment