barf se laḌta tha mere paas paani kyuun nahin
ab saval uThta hai dariya men ravani kyuun nahin
dastan paḌh kar miri aḳhbar men rota hai vo
aa ke sunta dukh mira meri zabani kyuun nahin
main tira be-ḳhvab bachcha maan bata mere liye
koi lori kyuun nahin koi kahani kyuun nahin
Dubna chahunga to ḳhushki men ho ja.unga gharq
main na puchhunga kabhi dariya men paani kyuun nahin
mera qad uncha hai lekin ba-hunar vo bhi to hain
shahr ke bolon pe teri mehrbani kyuun nahin
paas us ke paisa bangle gaḌiyan shohrat bhi hai
‘ashk’ ji vo shaḳhs phir bhi ḳhandani kyuun nahin
Leave a Reply