Barf Hoti Hui Hiddat Ko Nahin Jaante Ho

barf hotī huī hiddat ko nahīñ jānte ho

tum pighalne kī aziyyat ko nahīñ jānte ho

dekhiye aam adāvat meñ to gunjā.ish hai

tum magar josh-e-raqābat ko nahīñ jānte ho

be-gunāhī ke liye aag pe chalnā hogā

tum qabīle kī rivāyat ko nahīñ jānte ho

ab palaTne kā natīja hai kisī ek kī maut

tum mire pyaar kī shiddat ko nahīñ jānte ho

aañkh se dekhā sunā kaan se zāhir hai magar

tum pas-e-parda haqīqat ko nahīñ jānte ho

mere lahje meñ jo Thahrāv nahīñ aayā ‘roz’

kyā mirī talḳhī-e-hijrat ko nahīñ jānte ho

Leave a Comment