baar baar ek hi nazzara na dikhlaya kar
baat dilkash bhi agar ho to na dohraya kar
log gir jaate hain miTTi ke gharondon ki tarah
is tarah barish-e-didar na barsaya kar
peḌ ka saaya nahin TuuTa hua patta huun
mujh ko jazbat ke dariya men na Thahraya kar
TuuT jaa.e na kisi roz tira shish-mahal
yuun sar-e-rah na divanon ko samjhaya kar
mere ehsas ko ik phuul bahut hai ‘ḳhavar’
mere ehsas pe yuun sang na barsaya kar
Leave a Reply