baaqi sab kuchh duniya men be-maani hai
meri nazar men ik tu hi la-sani hai
roz badal kar chehre kyuun dikhlata hai
teri har surat jani-pahchani hai
saath rahe jyuun koi kinare nadiya ke
qismat ki bhi dekho kya man-mani hai
dard ka mausam phir se lauta hai shayad
ankhon ke dariya par khuub ravani hai
gham aansu tanhai shikve bechaini
is duniya men sab ki ek kahani hai