baqa ki fikr karo ḳhud hi zindagi ke liye
zamana kuchh nahin karta kabhi kisi ke liye
nahin hai vaqf agar zindagi kisi ke liye
to har qadam pe tabahi hai aadmi ke liye
kamal jab hai ki us raah men charagh jalao
jo muddaton se tarasti hai raushni ke liye
fareb-e-shauq fareb-e-nazar fareb-e-ḳhayal
hazar daam hain ik zauq-e-agahi ke liye
tumhari bazm men kya shikva-e-gham-e-hasti
yahan to saans bhi ne.amat hai zindagi ke liye
gulon ne aag laga di tamam gulshan men
zara si der ke lutf-e-shaguftagi ke liye
koi to baat tire astan men hai varna
hazar dar the mire zauq-e-bandagi ke liye
vahan havaon ke ruḳh bhi nigah men rakhna
jahan charagh jalate ho raushni ke liye
na jaane kitni baharon ka ḳhuun hua hoga
nigar-e-ḳhana-alam ki dilkashi ke liye
farogh-e-bada nahin hai harif-e-tishna-labi
kuchh aur laao mire zauq-e-mai-kashi ke liye
nigah-e-barq hai jab se mire chaman ki taraf
dua.en maang raha huun kali kali ke liye
jo un ke gham se ho nisbat to har jahan men ‘kaif’
masarraton ka ḳhazana hai aadmi ke liye
Leave a Reply