band hai jo zaban kholun kya
sun sakoge mujhe main bolun kya
tez barish hai aur mauqa bhi
main tujhe saath men bhigo luun kya
teri manzil hi meri manzil hai
main tire sath-sath ho luun kya
mar chuka hai jo mujh men zinda tha
nabz us ki main ab TaTolun kya
main tumhara huun bas tumhara huun
ab kisi aur se na bolun kya
zabt ‘mashkur’ jaan le lega
baiTh kar thoḌi der ro luun kya
Leave a Reply