ausan par yuun us ne qaabu kiya hua hai
jaise ki mujh pe kaala jaadu kiya hua hai
baten saja rakhi hain divar par diye si
yadon ko main ne us ki jugnu kiya hua hai
miTTi ke is badan men hai ruuh nartaki si
sanson ko us ne meri ghunghru kiya hua hai
hindi mahak rahi hai loban jaisi meri
lahje ko main ne apne urdu kiya hua hai
kya kya mujhe kiya hai is ishq ne ‘musavvir’
janan kiya hua hai jaanu kiya hua hai
Leave a Reply