bahut jumud hai taari koi ḳhayal zara
naya sa lafz miri ḳhaak par uchhal zara
vo tu hi hai ki main bikhra huun samne jis ke
tu kam-nasib nahin hai mujhe sambhal zara
bichhaḌte vaqt ye ḳhvahish kahan thi na-ja.ez
use bhi hota hamari tarah malal zara
nahin jo manta ḳhud ko ki be-misal hai tu
tu apne jaisi dikha de koi misal zara
hansi men Taal de phir se hamari har ḳhvahish
phir ek baar thapak de hamara gaal zara
main ḳhud ko raakh na kar duun ye Dar satata hai
hisar-e-jism se bahar mujhe nikal zara
Leave a Reply