bahta hua dariya huun kahin par tha kahin huun
main lamha-e-maujud ka paband nahin huun
vabasta huun ik silsila-e-ishq se lekin
main chak-e-gareban huun na main ḳhak-nashin huun
ai dil-zadaganon ke masiha mujhe batlao
kya main tiri fihrist-e-dil-o-jan men kahin huun
maḳhsus hai jo sirf tire husn-e-nazar se
us aankh se dekhe koi mujh ko to hasin huun
dildar nigahon ke isharon se bala le
main teri pahunch se abhi bahar bhi nahin huun
hai ab bhi vahi dil ke dhaḌakne ki kahani
tu mujh ko jahan chhoḌ gaya tha main vahin huun
Leave a Reply