bahar aai kisi ka samna karne ka vaqt aaya
sambhal ai dil ki izhar-e-vafa karne ka vaqt aaya
unhen amada-e-mehr-o-vafa karne ka vaqt aaya
badi muddat men arz-e-muddaa karne ka vaqt aaya
ravan hain apne markaz ki taraf asuda ummiden
hujum-e-yas ko dil se juda karne ka vaqt aaya
phir ik gum-karda-rah-e-zindagi ko mil gai manzil
sujud-e-shukr-e-be-payan ada karne ka vaqt aaya
kabhi duuri thi lekin ab khayal-e-khauf-e-duri hai
fughan ki saaten guzrin dua karne ka vaqt aaya
kahan tak khatm rahta darmiyan par dil ka afsana
bil-akhir darmiyan se ibtida karne ka vaqt aaya
har ik jurm-e-mohabbat us nigah-e-lutf ke sadqe
naved-e-afiyat le kar khata karne ka vaqt aaya
nigah o dil se ab tafsir-o-sharh-e-azru hogi
zaban o lab se tark-e-iltija karne ka vaqt aaya
vo aate hain ‘shakil’ ab apne dil se haath dho baitho
nigah-e-naz ki qimat ada karne ka vaqt aaya
Leave a Reply