bagh-e-jahan men sarv sa gardan-kashida huun
daman taalluqat se aalam ke chida huun
is qafila ko naala sunane ka zauq niin
misl-e-jaras ke main na dahan-e-darida huun
niin bhulne ka misl-e-jaras ki fughan ke taiin
nalan huun dil agarche lab-e-armida huun
bismil huun dil-figar huun aur jan-ba-lab huun aah
surat ayaan hai naale ki halq-e-burida huun
rakhta huun is liye dil-e-sozan o chashm-e-tar
jiyun shama dard-e-dagh se ishq-afrida huun
Leave a Reply