• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Malal Dil Mein Kisi Dard Ka Nahin Rakhna

Malal Dil Mein Kisi Dard Ka Nahin Rakhna

malal dil men kisi dard ka nahin rakhna

koi bura jo kahe dil bura nahin rakhna

ye dushmani to bahut fasle baḌha degi

hamare baa’d kisi se gila nahin rakhna

hamare dost hamen bad-guman kar denge

ab iltifat bahut barmala nahin rakhna

ye nasl-e-nau to hamin se javaz mangegi

so iḳhtilaf ko had se siva nahin rakhna

tumhare paas faqat aaj hai mire logo

kisi bhi kaam ko kal pe uTha nahin rakhna

ham ajizi se milen tarbiyat hamari hai

unhen ghurur salam-o-dua nahin rakhna

milen zarur magar faisle ke baa’d ‘ghazal’

ki rabt aap se rakhna hai ya nahin rakhna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sahir-ludhianvi

Nazar Se dil Mein Samane Wale Meri Mohabbat Tere Liye Hai

poet

Ab Kya Kahen Jo Mausam-E-Gulshan Ka Haal Hai

Gulshan Mein Le Ke Chal Kisi Sahra Mein Le Ke Chal

Yun to Hanste Hue laDkon Ko Bhi Gham Hota Hai

poet

Haq-Mehr Kitna Hoga Bataya Nahin Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet