nakamiyon pe sar-ba-gareban nahin huun main
jo uTh ke baiTh jaa.e vo tufan nahin huun main
kya ḳhak-e-dil ki aag jo sho.ala na de sake
jazbat-e-mushta.il se pasheman nahin huun main
ho mujh se aadmi ki ḳhushamad ḳhuda ki shaan
jis ka ho ye shi.ar vo insan nahin huun main
meri shaguftagi ka bhi aa.ega ek vaqt
mahke na jo kabhi vo gulistan nahin huun main
kaT kaT ke gir raha hai ‘munavar’ jigar mira
bazm-e-suḳhan men aaj ghazal-ḳhvan nahin huun main
Leave a Reply