badan par nai fasl aane lagi
hava dil men khvahish jagane lagi
koi khud-kushi ki taraf chal diya
udasi ki mehnat thikane lagi
jo chup-chap rahti thi divar par
vo tasvir baten banane lagi
khayalon ke tarik khandarat men
khamoshi ghazal gungunane lagi
zara der baithe the tanhai men
tiri yaad ankhen dukhane lagi