badal gaya hai sabhi kuchh us ek saaat men
zara si der hamen ho gai thi ujlat men
mohabbat apne liye jin ko muntakhab kar le
vo log mar ke bhi marte nahin mohabbat men
main janta huun ki mausam kharab hai phir bhi
koi to saath hai is dukh-bhari masafat men
use kisi ne kabhi bolte nahin dekha
jo shakhs chup nahin rahta miri himayat men
badan se phuut pada hai tamam umr ka hijr
ajiib haal hua hai tiri rifaqat men
mujhe sambhalne men itni ehtiyat na kar
bikhar na jaun kahin main tiri hifazat men
yahan pe log hain mahrumiyon ke maare hue
kisi se kuchh nahin kahna yahan muravvat men
Leave a Reply