svaraj ka jhanda bharat men gadva diya gandhi baaba ne
dil qaum-o-vatan ke dushman ka dahla diya gandhi baaba ne
ulfat ki raah men mar jaana par naam jahan men kar jaana
ye paath vatan ke bachchon ko sikhla diya gandhi baaba ne
ik dharm ki taqat dikhla kar zalim ke chhakke chhodva kar
bharat ka loha duniya se manva diya gandhi baaba ne
ai qaum vatan ke parvano lo apne farz ko pahchano
ab jail se ye paigham hamen bhijva diya gandhi baaba ne
charkhe ki top chala do tum ghairon ke chhakke chhuda do tum
ye hind ka chakr-sudarshan hai samjha diya gandhi baaba ne
nafrat thi gharibon se jin ko hain shaad achhuton se mil kar
ik prem-pyala duniya ko pilva diya gandhi baaba ne
girdab men qaum ki kashti thi tufan bapa the aafat ke
nation ka beda sahil par lagva diya gandhi baaba ne
bhagvan bhagat ne himmat ki ik prem-jvala jaag uthi
karva kar shir-o-shakar sab ko dikhla diya gandhi baaba ne
hans hans kar qaum ke bachchon ne sinon par goliyan khaai hain
bharat ki rah men mar mitna sikhla diya gandhi baaba ne
ghairon ke jhanson men aana dushvar hai hind ke lalon ko
ankhon se ghaflat ka parda uthva diya gandhi baaba ne
Leave a Reply