baat ek jaisi hai hajv ya qasida likh
be-niyaziyan us ki ho ke abdida likh
jama kar ye avazen meri khud-kalami ki
aur un ke imle se dard ka jarida likh
zehn ki hidayat hai katib-e-zamana ko
aql ki dalilon se aaj ka aqida likh
rang-o-raushnai ki hadd-e-auj se uupar
ho sake to andazan qamat-e-kashida likh
dekh un khalaon men nuqta-ha-e-nur us ke
tu bhi ek khaliq hai sher chida chida likh
Leave a Reply