baat aisi bhi koi nahin ki mohabbat bahut ziyada hai
lekin ham donon se us ki taqat bahut ziyada hai
aap ke pichhe pichhe phirne se to rahe is umr men ham
raah pe aa baithe hain ye bhi ghanimat bahut ziyada hai
ishq udasi ke paigham to laata rahta hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyada hai
kaam to kaafi rahta hai lekin karna hai kis ne yahan
be-shak rose idhar aa niklo fursat bahut ziyada hai
kya kuchh ho na saka ham se aur hone vaala hai kya kuchh
hasrat bhi kaafi hai lekin hairat bahut ziyada hai
sair hi karke aa jaenge phir bazar-e-tamasha ki
jis shai ko bhi haath lagaen qimat bahut ziyada hai
us ki tavajjoh hasil ki aur biich men sab kuchh chhod diya
hikmat jitni bhi ho is men himaqat bahut zyada hai
ishq hai kis ko yaad ki ham to darte hi rahte hain sada
husn vo jaisa bhi hai us ki dahshat bahut zyada hai
ek chiiz jo apni rasai se bahar hai kahin ‘zafar’
sach puchho to is ki hamen zarurat bahut zyada hai
Leave a Reply