• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Baala-E-Baam Ghair Hai Mein Aastan Par

Baala-E-Baam Ghair Hai Mein Aastan Par

riyaz-khairabadi

bala-e-bam ghair hai men astan par

chahen jise chadhaen huzur asman par

kyuun na-murad aah gai asman par

tuute na asman kahin meri jaan par

rusvaiyan hain saath vo chhup kar hazar jaan

sau sau ke sar jhuke hain qadam ke nishan par

aana use zarur go hon laakh ehtimam

ashiq hai un ki niind miri dastan par

tha raz-dar-e-husn vo kafir jo kah gaya

maashuq dil ki baat na laaen zaban par

un ki gali men raat men is vaza se gaya

ghabra ke pasban gire pasban par

nazuk si tegh-e-yar hai kya zahr ki bujhi

khaae hue hai zahr mire imtihan par

bante hain shokhiyon se vo suraj bhi chand bhi

naqsh-e-qadam bhi aap ke hain asman par

khalvat men bhi chali hain kahin sina-zoriyan

is tarah aap tan ke uthe kis guman par

zikr-e-mai-e-tahur ne tadpa diya ‘riyaz’

jaana pada hamen kisi unchi dukan par

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Na Kaliyan Muskuraati Hain Na Phulon Par Nikhaar Aae

Ghar Mein Sahra Hai to Sahra Ko KHafa Kar Dekho

Qalb-E-Alam-Nasib Ki Tishna-Labi Bujhae Ja

Na Puchh Meri Kahani Kahan Se Nikli Hai

akhtar-ansari

Qasam In Aankhon Ki Jin Se Lahu Tapakta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet