• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Baada-KHane Ki Riwayat Ko Nibhana Chahiye

Baada-KHane Ki Riwayat Ko Nibhana Chahiye

bada-ḳhane ki rivayat ko nibhana chahiye

jaam agar ḳhali bhi ho gardish men aana chahiye

aaj aana hai unhen lekin na aana chahiye

va.ada-e-farda usulan bhuul jaana chahiye

tark karna chahiye hargiz na rasm-e-intizar

muntazir ko umr bhar sham.en jalana chahiye

jazb kar lete hain achchhi suraton ko aa.ine

a.inon se kiya tumhen ankhen milana chahiye

mere us ke biich jo halat ki divar hai

mujh ko us divar men ik dar banana chahiye

phir karam-agin tabassum men hai poshida sitam

hosh-mandon ko paheli buujh jaana chahiye

gardish-e-halat se mayus hona kufr hai

umr bhar insan ko qismat azmana chahiye

meri ghazlen hongi kal na-mahramon ke darmiyan

us ki ḳhushbu meri ghazlon men na aana chahiye

ham to qaa.il hi nahin mahdud-e-ulfat ke ‘alim’

ham ko ulfat ke liye saara zamana chahiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dard-E-Alam Bhi Kahin Dard-E-Mohabbat Hi Na Ho

abul-hasanat-haqqi

Ek Masarrat Mere Atraf Ko Anjaani de

noshi-gilani

dil Ki Manzil Us Taraf Hai Ghar Ka Rasta Is Taraf

poet

Ai Kahkashan Guzar Ke Teri Rahguzar Se Hum

poet

Hamrah Uske Subh Chale Sham Bhi Chale

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet