ba.ad tumhare koi hamdam kya hoga
marham ke maron ka marham kya hoga
mumkin hai ye mujh ko pagal bhi kar de
ishq ka gham hai is se to come kya hoga
muflis kya hain chalte phirte murde hain
murdon ke marne ka matam kya hoga
ThanDi aahen ḳhvab sulagte nam ankhen
is se baḌh kar rangin mausam kya hoga
dono hi ke apne apne raste hain
sahra se dariya ka sangam kya hoga
Leave a Reply