ba-zahir ye vahi milne bichhaḌne ki hikayat hai
yahan lekin gharon ke bhi ujaḌne ki hikayat hai
sipah-salar kuchh likhta hai tasvir-e-hazimat men
magar ye to adu ke paanv paḌne ki hikayat hai
kaniz-e-be-nava ne ek shahzade ko chaha kyuun
mohabbat zinda divaron men gaḌne ki hikayat hai
khuli ankhen to kandhon par kitabon se bhara basta
laḌakpan ab kahan titli pakaḌne ki hikayat hai
ka.i sadiyan ganva diin ham ne kam-koshi ki rahat men
bahut hi dukh bhari apne bichhaḌne ki hikayat hai
para.i ḳhaak ne un par kahin banhen na phaila.in
ye hijrat ka safar jaḌ se ukhaḌne ki hikayat hai
qadam kab tak jame rahte mire sailab ki zad men
miri be-chargi tinke pakaḌne ki hikayat hai
Leave a Reply