ba-chashm-e-haqiqat jahan dekhta huun
main janan ka jalva ayaan dekhta huun
ye jo kuchh ki zahir hai sab nur-e-haq hai
main haq dekhta huun jahan dekhta huun
bahar-rang o har shai o har ja o har su
tujhi ko main jalva-kunan dekhta huun
har ik qatra-e-bahr-e-kasrat men yaaro
main dariya-e-vahdat ravan dekhta huun
jahan dekhta huun main jalva hai tera
tire ghair ko main ziyan dekhta huun
ye tasir hai raz-e-ulfat ka dil par
chu shadi-o-gham ek saan dekhta huun
ba-juz zat-e-murshid vahan kuchh na paaya
main shaikh-o-barahman yahan dekhta huun
khula mujh pe hai jab se sirr-e-haqiqat
main apne taiin khud guman dekhta huun
hua faiz-e-khadim ‘safi’ se ye ‘asim’
ki sab shan-e-maula ayaan dekhta huun
Leave a Reply