• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Awwalin Chand Ne Kya Baat Sujhai Mujhko

Awwalin Chand Ne Kya Baat Sujhai Mujhko

nasir-kazmi

avvalin chand ne kya baat sujhai mujh ko

yaad aai tiri angusht-e-hinai mujh ko

sar-e-aivan-e-tarab naghma-sara tha koi

raat bhar us ne tiri yaad dilai mujh ko

dekhte dekhte taron ka safar khatm hua

so gaya chand magar niind na aai mujh ko

inhi ankhon ne dikhae kai bharpur jamal

inhin ankhon ne shab-e-hijr dikhai mujh ko

saae ki tarah mire saath rahe ranj o alam

gardish-e-vaqt kahin raas na aai mujh ko

dhuup idhar dhalti thi dil dubta jaata tha idhar

aaj tak yaad hai vo sham-e-judai mujh ko

shahr-e-lahore tiri raunaqen daaim abad

teri galiyon ki hava khinch ke laai mujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

adil-mansuri

Wo Barsat Ki Shab Wo Pichhla Pahar

Naza Mein Ab Mere Jine Ki Dua Karte Hain

narjis-afroz-zaidi

Raqs-E-Zamin Ko Gardish-E-Aflak Chahiye

Tum KHwab Mein Aaoge Ye Malum Nahin Tha

Tu Nahin Hoga Magar Ye Silsila Rah Jaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet