• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Awwalan Us Be-Nishan Aur Ba-Nishan Ko Ishq Hai

Awwalan Us Be-Nishan Aur Ba-Nishan Ko Ishq Hai

nazeer-akbarabadi

avvalan us be-nishan aur ba-nishan ko ishq hai

baad-azan sar halqa-e-paigham-baran ko ishq hai

la-fata-illa-ali hai shaan men jis ki nuzul

dostan us shah-e-mardan se javan ko ishq hai

phir jo hai bagh-e-nabuvvat aur imamat ki bahar

ghuncha-e-gul sabza-e-ambar-fishan ko ishq hai

arsh o kursi huur o ghilman aur malaek khaas o aam

alam-e-bala ke sab bashindagan ko ishq hai

hain jo ye chaudah tabaq mutharrik o sakin sada

be-sukhan un sab zamin-o-asman ko ishq hai

mukhtalif hain aur mile rahte hain baham roz-o-shab

khaak baad o atish o ab-e-ravan ko ishq hai

hai jahan men jin se raushan adl ke ghar ka charagh

dam-ba-dam un badshahan-e-jahan ko ishq hai

aur khurasan asfahan iran aur turan ko

phir hamare gulshan-e-hindostan ko ishq hai

hain jahan tak silsile fuqara ke az-kah-ta-bah-mah

arifan aur kamilan aur ashiqan ko ishq hai

koh tharrate hain larzen hain zamin o asman

ashiq-e-maula ki fariyad-o-fughan ko ishq hai

har taraf gulzar hai sabzan aur ab-e-ravan

apni nazron men bahar-e-gul-fashan ko ishq hai

vo jo hain is gulshan-e-hasti men ab mahv-e-fana

un ke aage mausam-e-bad-e-khizan ko ishq hai

gard ke manind phirti hain padi udti kharab

lut gai dast-e-junun ki karvan ko ishq hai

lotte hain mast mai-khane ke dar par ja-ba-ja

jaam o sahba saaqi o pir-e-mughan ko ishq hai

kal hi naqsh-e-zaiqa sun kar bhi ham aamil rahe

ai azizan is hayat-e-raegan ko ishq hai

khilqat-e-kaunain men kya jin o kya insan ‘nazir’

vahshi o taair zaban o be-zaban ko ishq hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Main Kya Hun Mujhe Tumne Jo Aazar Pe Khincha

Jab Kaha Tir Teri Aankh Ne Akasr Mara

Jaise Mehman Koi Aae Kisi Mehman Ke Baad

Qadam Qadam Aasman Bhi Misl-E-Zamin Hai Mujhko

Aisa Ye Dard Hai Ki Bhulaya Na Jaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet