aur thoḌa sa bikhar ja.un yahi Thani hai
zindagi main ne abhi haar kahan maani hai
haath par haath dhare baiThe to kuchh milta nahin
dasht o sahra ki miyan ḳhaak kabhi chhani hai
qatl ko qatl jo kahte hain ghalat kahte hain
kuchh nahin zill-e-ilahi ki ye nadani hai
sahm jaate hain agar patta bhi koi khaḌke
jante sab hain tira zimma nigahbani hai
apni ghairat ka samundar abhi sukha to nahin
buund bhar hi sahi ankhon men abhi paani hai
Leave a Reply