
Anwar Shuoor
aur na dar-ba-dar phira aur na aazma mujhe
bas mire parda-dar bas! ab nahin hausla mujhe
saḳht nazar-fareb hai a.ina-ḳhana-e-jamal
us ki chamak-damak na dekh, dekh bujha bujha mujhe
habs-e-hujum-e-ḳhalq se ghuT ke alag hua to main
qatra ba-sat.h-e-bahar tha chaaT ga.i hava mujhe
sabr karo muhasibo vaqt tumhen bata.ega
dahr ko main ne kya diya dahr se kya mila mujhe
sirf usi ke samne ḳhvar kiya tha aas ne
yaas ne fard fard par aa.ina kar diya mujhe
tere hi misr ka malal tere hi najd ka ḳhayal
shahr-ba-shahr ku-ba-ku gam-ba-gam tha mujhe
kar-gah-e-baqa mujhe zat-o-hayat-o-ka.enat
zat-o-hayat-o-ka.enat da.era-e-fana mujhe
zat-o-hayat-o-ka.enat be-sar-o-pa o be-sabat
be-sar-o-pa o be-sabat shai se umiid kya mujhe
raat lughat-e-umr se main ne chuna tha ek lafz
lafz bahut ajiib tha yaad nahin raha mujhe
tha guzaran guzar gaya vaqt-e-visal aur bas
ḳhaak bhi chhanta phira phir na kabhi mila mujhe
main ne hansi-ḳhushi use jaane diya tha haan magar
ye to muahida na tha muḌ ke na dekhna mujhe
shaam us aadmi ki yaad aa.i jo ek umr ba.ad
janiye kis azaab men kar ga.i mubtala mujhe
main ne use shikast di sina-ba-sina lab-ba-lab
sina-ba-sina lab-ba-lab us ne hara diya mujhe
jo na suna tha dahr se us ki zaban se sun liya
ab mujhe koi kuchh kahe fikr nahin zara mujhe
hain tiri mehrbaniyan bhuli hui kahaniyan
bhuli hui kahaniyan yaad na ab dila mujhe
fan ko samajh liya gaya mahz atiyya-e-falak
sa.i-o-riyaz ka sila ḳhuub diya gaya mujhe
mahram-e-ḳhas dekhna so to nahin gaya ‘shu.ur’
der hui sune hue koi na.i sada mujhe

Leave a Reply