• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / August-1952

August-1952

faiz-ahmad-faiz

raushan kahin bahar ke imkan hue to hain

gulshan men chaak chand gareban hue to hain

ab bhi khizan ka raaj hai lekin kahin kahin

goshe rah-e-chaman men ghazal-khvan hue to hain

thahri hui hai shab ki siyahi vahin magar

kuch kuchh sahar ke rang par-afshan hue to hain

in men lahu jala ho hamara ki jaan o dil

mahfil men kuchh charagh farozan hue to hain

haan kaj karo kulah ki sab kuchh luta ke ham

ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran hue to hain

ahl-e-qafas ki subh-e-chaman men khulegi aankh

bad-e-saba se vaada-o-paiman hue to hain

hai dasht ab bhi dasht magar khun-e-pa se ‘faiz’

sairab chand khar-e-mughilan hue to hain

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apni KHabar Nahin Hai Ba-Juz Is Qadar Mujhe

Gharaz paDne Pe Us Se Mangta Hai

Be-Kasi Mein Asar Yagana Hai

Aa Ja Andheri Raaten Tanha Bita Chuka Hun

poet

KHwab Ka Ham-Safar Raha Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet