
Aftab Shamsi
asir-e-jism huun darvaza tod daale koi
gira pada huun kunen men mujhe nikale koi
main apne aap men utra khada huun sadiyon se
qarib aa ke mire meri thaah pa le koi
main jangalon men darindon ke saath rahta raha
ye khauf hai ki ab insan na aa ke kha le koi
shikasta kashti ke takhte pe so raha huun main
thapeda maujon ka aa kar mujhe jaga le koi
dahan-e-zakhm talak khinch ke aa chuka hai ab
main muntazir huun ye zahrab chuus daale koi
zamin pyasi hai tan men lahu nahin baaqi
hamara bojh bahut kam hai ab utha le koi
yaqin nahin hai kisi ko mire bikharne ka
kasif zehnon ke kar jaae saaf jaale koi

Leave a Reply