ashk zaa.e.a ho rahe the dekh kar rota na tha
jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha
sirf teri chup ne mere gaal giile kar diye
main to vo huun jo kisi ki maut par rota na tha
mujh pe kitne sanahe guzre par in ankhon ko kya
mera dukh ye hai ki mera ham-safar rota na tha
main ne us ke vasl men bhi hijr kaaTa hai kahin
vo mire kandhe pe rakh leta tha sar rota na tha
pyaar to pahle bhi us se tha magar itna nahin
tab main us ko chhu to leta tha magar rota na tha
girya-o-zari ko bhi ik ḳhaas mausam chahiye
meri ankhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Leave a Reply