• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ashk Ho Aankhen Bhigona Ho to Phir

Ashk Ho Aankhen Bhigona Ho to Phir

ashk ho ankhen bhigona ho to phir

aankh men sapna salona ho to phir

kab talak baḳhiya-gari ka shauq bhi

umr bhar siina pirona ho to phir

dost internet par achchha chalo

aur gale jo lag ke rona ho to phir

vo miri dil-jui ko hazir magar

us ka hona bhi na hona ho to phir

us ko paane ki talab par soch lo

us ko paana us ko khona ho to phir

nazuki to sikhi us ne phuul se

titliyon ka bojh Dhona ho to phir

yuun jo ḳhush ho us ko hansta dekh kar

us ka hansna us ka rona ho to phir

yuun to gajron se kala.i saj ga.i

chaah us ki chandi sona ho to phir

log kahte hain ki duniya gol hai

muflisi kona-ba-kona ho to phir

‘ahmad’ apne dil ko ḳhush karne chale

aur gham dil ka khilauna ho to phir

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Be-KHudi Sath Hai Maze Mein Hun

Phir Se Badle Yahan Tahzib Ne Tewar Apne

Main Jo Bad-Hawas Tha Mahw-E-Qayas Tum Bhi The

KHud-Faramosh-E-Qafas Hum Hain Chaman Yaad Nahin

ahmad-khayal

Ghubar Abr Ban Gaya Kamal Kar diya Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet