ab vo pahli si shiddat kahan hai
hijr men ve tamazat kahan hai
ham to thahre sada ke gadagar
tu bata teri daulat kahan hai
dekh kar chand jalta tha jis ko
aaj vo khubsurat kahan hai
saans khud hi chali aa rahi hai
saans lene ki fursat kahan hai
aaina main ne dekha to dekha
saare aalam ki hairat kahan hai
ab to bas ek dil hi bacha hai
aur vo bhi salamat kahan hai
aadmi to nazar aa rahe hain
haan magar adamiyat kahan hai
dhundne se jo mil jaae ‘momin’
dhund lena mohabbat kahan hai
Leave a Reply