soz-e-gham chiiz hai kya kuchh hamen ma.alum to ho
ye maraz hai ki dava kuchh hamen ma.alum to ho
roz-o-shab hoti rahe taaza qayamat barpa
zindagani ka maza kuchh hamen ma.alum to ho
ham bhi parvana-mizaji ka dikha.en aalam
qimat-o-qadr-e-vafa kuchh hamen ma.alum to ho
phir laga lenge kabhi chand sitaron ka suragh
pahle ḳhud apna pata kuchh hamen ma.alum to ho
aap ke lutf se mahrum jo ham rahte hain
kis ḳhata ki hai saza kuchh hamen ma.alum to ho
dil ki dhaḌkan na sahi aap ki aahaT hi sahi
saz-e-hasti ki sada kuchh hamen ma.alum to ho
jan-o-dil ham bhi karen nazr-e-mohabbat ‘mansha’
itni mehnat ka sila kuchh hamen ma.alum to ho
Leave a Reply