ashk ankhon men liye athon pahar dekhega kaun
ham nahin honge to teri rahguzar dekhega kaun
shama bhi bujh jaegi parvana bhi jal jaega
raat ke donon musafir hain shajar dekhega kaun
sone aur chandi ke bartan ki numaish hai yahan
main huun kuza-gar mira dast-e-hunar dekhega kaun
jis qadar duuba hua huun khud main apne khuun men
khud ko apne khuun men yuun tar-ba-tar dekhega kaun
har taraf maqtal men hai chhai hui viraniyan
neza-e-batil pe akhir mera sar dekhega kaun
mere zahir par nigahen sab ki hain ‘afzal’ magar
mere andar jo chhupa hai vo guhar dekhega kaun
Leave a Reply