ashk ankhon men kab nahin aata
lohu aata hai jab nahin aata
hosh jaata nahin raha lekin
jab vo aata hai tab nahin aata
sabr tha ek monis-e-hijran
so vo muddat se ab nahin aata
dil se rukhsat hui koi khvahish
girya kuchh be-sabab nahin aata
ishq ko hausla hai shart arna
baat ka kis ko dhab nahin aata
ji men kya kya hai apne ai hamdam
par sukhan ta-ba-lab nahin aata
duur baitha ghubar-e-‘mir’ us se
ishq bin ye adab nahin aata
Leave a Reply