asar hota nahin hai pattharon par
hamen bhi naaz hai apne saron par
main hilti shaḳh se Darta nahin huun
bharosa hai mujhe apne paron par
dua.en mangti rahti hain nadiyan
umaD aate hain badal sagaron par
mujhe un bastiyon ki aarzu hai
jahan taale nahin milte gharon par
qalam kamzor paḌta ja raha hai
siyasat chha rahi hai sha.iron par
laḌe donon the hindu aur muslim
magar kis ka lahu tha ḳhanjaron par
agar ḳhud par bharosa hai to ‘ulfat’
ubhar aate hain chehre pattharon par
Leave a Reply