arsh ta-farsh sair kar dekha
jalva-gar tu hua jidhar dekha
chashm-e-tahqiq se jahan dhunda
gabr huun tujh siva agar dekha
qashriyon ki samajh pe hairan huun
dusra hai kahan kidhar dekha
tiir ke naam par tadapta hai
is tarah ka kahin jigar dekha
aabla aabla hue sab uzv
nakhl-e-ulfat ne ye samar dekha
khabar us ki ko kis se puchhun main
jis ko dekha so be-khabar dekha
apne ham-chashm se laga kahne
nala-o-ah-o-shor-o-shar dekha
tak ek insaf se agar dekho
‘ishq’ sa koi chashm-e-tar dekha
Leave a Reply