• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Apni Masiha Ke Nam

Apni Masiha Ke Nam

ishrat-afreen

ye karb-e-takhliq kaun jaane

sivae tere sivae mere

tu bint-e-maryam main bint-e-havva

miri masiha

ajiib rishta hai mera tera

vo lamha-e-karb

jab mujhe apne jan-o-tan ki khabar nahin thi

har ek chehra tha dhundla dhundla

tamam shaklen miti miti si

faqat tiri shakl aaina thi

tiri sada thi

jo mere tar-e-nafas ko chhu kar

lahu ki gardish badha rahi thi

tiri sada is ghunuda dhadkan men

dubti aur ubharti sanson ke darmiyan

zindagi se labrez jam-e-shirin

tiri sada men vo hausla tha vo sarkhushi thi

ki akhiri baar

mere mathe pe sard qatre jo jhilmilae

hayat aur maut ki kashmakash ke mabain main ne dekha

tiri nigahon men jaise mahtab jagmagae

ki tera chehra ik aisi pakiza raushni se dhula hua tha

ki jaise injil khulti jaae

vahi tulua-e-hayat ka khush-gavar manzar

ki tera malbus zindagi ke hazar rangon se bhar chuka tha

ki tere hathon ke nur-pyalon men

mera suraj damak raha tha

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

gulnar-aafreen

Ai Shahr-E-Sitam-Pesha Bata Kis Ko Sada dun

ahmad-rahi

dil Pe Jab dard Ki Uftad Padi Hoti Hai

poet

Kya shoKH-O-Shang Shai Nigah-E-Sharmgin Bhi Hai

Na Karwan Ka Hamare Koi Nishan Raha

shahryar

Pahle Safhe Ki Pahli Surkhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet