• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Apne Jauhar Se Siwa Bhi Koi Qimat Mange

Apne Jauhar Se Siwa Bhi Koi Qimat Mange

apne jauhar se siva bhi koi qimat mange

dil vo a.ina nahin hai ki jo surat mange

main ne dariyaon men bhi dasht ka manzar dekha

jab ki pyasa koi paani ki ijazat mange

us ki raftar ki tasvir bana.i na ga.i

kis qayamat ko ye hangam qayamat mange

naaz ki qamat-e-zeba ki bayan kya kiije

pairahan bhi jahan uslub-e-nazakat mange

jitna hota hai kam asar-e-ḳhushi ka lamha

dil mira dard se utni bhi na mohlat mange

har taraf shor hai avazon ka tasviron ka

kaun ghabra ke na ab gosha-e-uzlat mange

ḳhvab utre hain mire zehn pe jaise ilham

kaun in ḳhvabon se ta.abir ki qimat mange

kaun maslub hua kis pe laga hai ilzam

kashmakash aisi hai insaf adalat mange

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

adil-hayat

Lakiren

Na Aaya Kabhi Main Tere Aastan Par

Chand Ne Aaj Jab Ek Nam Liya aaKHir-E-Shab

abdul-hamid-adam

Sham Hai Aur Par Naddi Ke

Ye Alag Baat Ki Taklif baDha Deta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet