apna jab bojh miri jaan uThana paḌ jaa.e
dusron ka na kuchh ehsan uThana paḌ jaa.e
is qadar aish-e-mohabbat pe na ho ḳhush ki tujh
dusre ishq men nuqsan uThana paḌ jaa.e
is sara.e men na phaila.iye ajza-e-hayat
jaane kis vaqt ye saman uThana paḌ jaa.e
yuun na ho bol paḌun main tiri ḳhamoshi par
aur tujhe bazm se mehman uThana paḌ jaa.e
phir badal jaa.e na is va.ada-e-imroz se tu
aur hamen dusra tufan uThana paḌ jaa.e
kya tamasha ho sar-e-kucha-e-dildar agar
mere jaisa koi nadan uThana paḌ jaa.e
main to mar ja.un usi vaqt agar mujh ko ‘jamal’
ishq se haath kisi aan uThana paḌ jaa.e
Leave a Reply