apna hona bana raha huun main
dil se duniya bana raha huun main
ek dhaḌka laga hai siine ko
aisa bhi kya bana raha huun main
dil ko bela banaya ab is par
hiir ranjha bana raha huun main
rad main karta huun sab ravayyon ko
rasta apna bana raha huun main
pahle kaghaz pe pyaas likkha tha
is pe sahra bana raha huun main
Leave a Reply