apna gham be-libas kya karte
doston ko udaas kya karte
teri ankhen thiin mai-kada lekin
apne honTon ki pyaas kya karte
ham ko apna lahu hi piina tha
phir badal kar gilas kya karte
aap se hal-e-dil chhupa to na tha
aap se iltimas kya karte
aa na jaate jo baagh men bhanvre
phuul aisi miThas kya karte
lamha lamha badalti duniya men
vaza-dari ka paas kya karte
sab to chehron se apne the mahrum
aa.ine in.ikas kya karte
tujh pe apna guman jab na hua
ḳhud pe tera qayas kya karte
laakh chehre the ek chehre par
phir qayafa-shanas kya karte
saara aalam tha ek ‘saghar’ men
ja ke duniya ke paas kya karte
Leave a Reply